Nizam Rampuri

saf baaton mein to kudurat hai

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
saaf bātoñ meñ to kudūrat hai
aur lagāvaT se zāhir ulfat hai
ġhair se bhī kabhī to bigḌegī
rūThnā to tumhārī aadat hai
aap ke lutf meñ to shak hī nahīñ
dil ko kis baat kī shikāyat hai
us sitamgar se shikva kaise ho
aur ulTī mujhe nadāmat hai
bole dikhlā ke ā.īna shab-e-vasl
dekhiye to yahī vo sūrat hai
maut ko bhī nazar nahīñ aatā
nā-tavānī nahīñ qayāmat hai
kuchh kahā hogā us ne bhī qāsid
kuchh na kuchh terī bhī sharārat hai
kaho sab kuchh na rūThne kī kaho
ye hī kahnā tumhārā aafat hai
vaah kyā terī shā.irī hai 'nizām'
kyā fasāhat hai kyā balāġhat hai
Top Urdushayar.com