Nizam Rampuri

gar kahun matlab tumhaara khul gaya

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
gar kahūñ matlab tumhārā khul gayā
kahte haiñ achchhā huā kyā khul gayā
ġhair kī qismat kī khānī hai qasam
band thā darvāza un kā khul gayā
tum khule-bandoñ milo aġhyār se
shukr paañv ab tumhārā khul gayā
aa ga.ī be-parda vo sūrat nazar
aañkh kī jab band pardā khul gayā
ġhair se ab band ho kis baat par
gāliyoñ par muñh tumhārā khul gayā
khul gayā haal is dil-e-betāb kā
muñh dupaTTe se jo un kā khul gayā
hoñ ishāre ġhair se aur dekhūñ maiñ
bait-e-abrū kā bhī ma.anā khul gayā
nāma-bar! tere chhupāne se mujhe
apnī qismat kā navishta khul gayā
dil kī be-tābī ne rusvā kar diyā
haa.e sab par raaz apnā khul gayā
nāma-bar! gar ġhair ne dekhā nahīñ
kaise phir ḳhat kā lifāfā khul gayā
qudrat-e-haq se baḌhī ishrat kī shab
shab jo us kāfir kā juuḌā khul gayā
dekhiye kyā dil se dil ko raah hai
raaz jo tum ne chhupāyā khul gayā
jo na kahnā thā kahā sab kuchh 'nizām'
raaz bātoñ meñ vo aisā khul gayā
Top Urdushayar.com