Nizam Rampuri

tere aage adu ko nama-bar mara to kya mara

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
tire aage adū ko nāma-bar maarā to kyā maarā
na maarā jaañ se jis dam us ko gar maarā to kyā maarā
agar dil mārte apnā to kyuuñ ye zillateñ paate
tirī ḳhvāhish meñ zālim ham ne sar maarā to kyā maarā
vo māreñ qahqaha sun kar mirī sīna-zanī kā haal
idhar maarā to kyā maarā udhar maarā to kyā maarā
tumhāre haath to le letā apne haath se haihāt
dupaTTe se jo pahoñche bāñdh kar maarā to kyā maarā
na dekho duur se hī mujh ko in TeḌhī nigāhoñ se
kisī ko tiir tum ne pheñk kar maarā to kyā maarā
sabā ye kab jalan hotī jo shām-e-hijr gul hotī
tapāñcha sham.a ko vaqt-e-sahar maarā to kyā maarā
huā hai merī rusvā.ī se tere husn kā shohra
jo mujh ko jaañ se ai bedād-gar maarā to kyā maarā
tirī duurī meñ be-tāsīr gar ro.e to kyā ro.e
tirī furqat meñ na.ara be-asar maarā to kyā maarā
kahīñ hotā hai dil kā josh-e-saudā kam abas ragzan
ragoñ meñ merī tū ne neshtar maarā to kyā maarā
'nizām' is nafs-e-ammāra kī gardan bhī kabhī toḌī
javāñ-mardī kā dam tum ne agar maarā to kyā maarā
Top Urdushayar.com