Nizam Rampuri

gae hain jab se wo uTh ke yan se hai haal bahar mera bayan se

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
ga.e haiñ jab se vo uTh ke yaañ se hai haal bāhar mirā bayāñ se
kahe koī itnā jān-e-jāñ se milo nahīñ to gayā meñ jaañ se
jo kuchh guzartā hai mere dil par sunā.ūñ kis ko vo haa.e dilbar
ḳhudā kare phir vo din mayassar kahūñ maiñ apnī hī sab zabāñ se
kabhī ḳhafā ho ke baat karnā kabhī vo kah kah ke phir mukarnā
phir ulTā bohtān mujh pe dharnā ye tarz tum ne liyā kahāñ se
kabhī tire ġham meñ mujh ko ronā kabhī phir aaphī hai chupke honā
jo yaad aatā hai saath sonā to raat kaTtī hai kis fuġhāñ se
ghaḌī ghaḌī hijr kī hai bahārī dikhā.e sūrat ḳhudā tumhārī
sunūñ vo bāteñ piyārī piyārī ajab adā se ajab bayāñ se
tirā ḳhafā ho ke ruuTh jaanā vo minnatoñ se mirā manānā
vo apnī apnī sī kuchh sunānā vo bāteñ bhī aap dil-sitāñ se
ajab hī dushman se dostī kī ki shakl ab hai ye zindagī kī
laboñ pe chakkī hai jāñ-kanī kī paḌe haiñ behosh nīm-jāñ se
kahā kuchh us ne yahāñ kisī se ye baat qāsid nahīñ hañsī se
gumān hotā hai aur hī se tire ulajhte hue bayāñ se
'nizām' kyuuñ tū ne us ko chāhā ye dil meñ kyā thī jo dil lagāyā
jo deve taufīq kuchh bhī maulā to ab na milnā kabhī butāñ se
Top Urdushayar.com