Nizam Rampuri

wan to milne ka irada hi nahin

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
vaañ to milne kā irāda hī nahīñ
yaañ vo ḳhvāhish hai ki hotā hī nahīñ
yuuñ satāne ke to laa.eq the na ham
aap ne kuchh hameñ samjhā hī nahīñ
jis se taskīñ ho mirī ai qāsid
aisī to baat tū kahtā hī nahīñ
aur bhī aisī to bāteñ haiñ bahut
gila-e-rañjish-e-bejā hī nahīñ
le ga.iiñ nīchī nigāheñ dil ko
aañkh uThā kar abhī dekhā hī nahīñ
rashk-e-dushman se nasīhat huī aap
dil vahāñ jaane ko hotā hī nahīñ
aur jo zulm ho manzūr mujhe
ġhair se rabt gavārā hī nahīñ
yaañ to ye muntazir-e-va.ada ham
aur vaañ yaad vo va.adā hī nahīñ
rabt-e-dushman se hai inkār abas
hameñ is baat kā shikvā hī nahīñ
ham ḳhudā se bhī nahīñ māñgte kuchh
yaañ koī apnī tamannā hī nahīñ
na sahī koī burā.ī na sahī
tum se milnā mujhe achchhā hī nahīñ
us kī har baat ko sach samjhe 'nizām'
us sā ayyār to paidā hī nahīñ
Top Urdushayar.com