hiltī hai zulf jumbish-e-gardan ke saath saath
nāgin bhī hai lagī huī rahzan ke saath saath
kis kī kudūratoñ se ye miTTī ḳharāb hai
kis kā ġhubār hai tire dāman ke saath saath
uTThā thā muñh chhupā.e hue maiñ hī sub.h ko
jaatā thā maiñ hī raat ko dushman ke saath saath
kūche meñ us sanam ke ḳhudā.ī kā lutf hai
nāhaq phirā maiñ shaiḳh o barhaman ke saath saath
dil kī tapish ne ḳhaak uḌaa.ī ye ba.ad-e-marg
lāsha phirā kiyā mirā madfan ke saath saath
allāh apne rashk kā darja bhī ab nahīñ
kis kis jagah gayā but-e-pur-fan ke saath saath
jhoñkā qafas meñ aayā jo bād-e-bahār kā
pahlū se dil nikal chalā san-san ke saath saath
ashkoñ ke saath saath to maujeñ ġhamoñ kī haiñ
āñkhoñ ke sho.ale haiñ mire shevan ke saath saath
jis raah se guzarte haiñ vo, mujh se saikḌoñ
ho lete haiñ junūñ-zada ban ban ke saath saath
zanjīr mere paañv ke pīchhe paḌī hai yuuñ
phirtā hai rishta jis tarah sozan ke saath saath
kab tak kisī ko kholeñ kisī ko kareñ vo band
phirtī hai yaañ nigāh to rauzan ke saath saath
yuuñ saath ruuh ke hai tan-e-zār ab 'nizām'
phirtā hai jaise saaya mirā tan ke saath saath