Nizam Rampuri

kyun karte ho etibar mera

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872

kyuuñ karte ho e'tibār merā

ma.alūm hai tum ko pyaar merā

ye ḳhair hai aaj kuchh to kahiye

kyuuñ zikr hai baar baar merā

ik baat meñ faisla hai tum se

ranjīda hai dil hazār merā

terā nahīñ e'tibār mujh ko

bhī na kar e'tibār merā

shāyad ki na ho tum apne bas ke

dil par to hai iḳhtiyār merā

mujh ko na ho rashk ġhair-mumkin

aur ho dost-dār merā

kuchh samjhe hue haiñ apne dil meñ

sunte nahīñ hāl-e-zār merā

vo haa.e bigaḌ ke us jaanā

ronā vahīñ zār-zār merā

kal tak to 'nizām' ye na thā haal

dil aaj hai be-qarār merā

Top Urdushayar.com