dil pe jo guzre hai mere aah maiñ kis se kahūñ
kyā karūñ maiñ ai mire allāh maiñ kis se kahūñ
jab na tum hī hāl-e-dil merā kabhī aa kar suno
to ye farmāo mujhe, allāh maiñ kis se kahūñ
mere sāhib ke zarā se rabt par bigḌeñ na ġhair
ġhair se tum se jo kuchh hai raah maiñ kis se kahūñ
dosto ab kahne sunñe se nahīñ kuchh fā.eda
vo to mere ġham se hai āgāh maiñ kis se kahūñ
yuuñ hī nāhaq sar phirāte haiñ mirā aa aa ke log
haal apnā ai but-e-gumrāh maiñ kis se kahūñ
be-qarārī kā sabab apnī kahūñ kis se 'nizām'
dil pe jo hai sadma-e-jāñ-kāh maiñ kis se kahūñ