jab to maiñ huuñ aah meñ aisā asar paidā karūñ
ai sitamgar tere dil meñ apnā ghar paidā karūñ
yaañ to ye aadat hai kis kis kā karegā tū ilaaj
roz bīmārī se maiñ do chaar agar paidā karūñ
ye taġhāful vasl kī shab pūchhte haiñ merā haal
ab duā.eñ maañg kar dard-e-jigar paidā karūñ
aañkh uThā kar jis taraf dekhūñ vahī aa.e nazar
aañkh vo paidā karūñ aur vo nazar paidā karūñ
fikr se īzāoñ kī ulTī sunā jaa.e haiñ ġhair
aisā dil paidā karūñ aur vo jigar paidā karūñ
jo tumheñ manzūr hai vo kah na do kyuuñ chup raho
phir ḳhatā merī koī hujjat agar paidā karūñ
terī furqat maiñ gavārā kar sakūñgā kis tarah
kis kā dil lā.ūñ kahāñ se ye jigar paidā karūñ
haa.e dil ranjish kā sadma ek-dam uThtā nahīñ
ḳhud manā.eñ vo maiñ itnī baat gar paidā karūñ
kuchh rukā dekhā jo mujh ko to sunā kar ye kahā
ye to achchhī Thahrī ab logoñ kā Dar paidā karūñ
maiñ hī huuñ mujh sā agar DhūñDo jahāñ meñ mubtalā
tū hī ho tujh sā hasīñ duniyā meñ gar paidā karūñ
achchhā achchhā dar ko kar lo band mujh ko dekh kar
sar ko Takrā.ūñ abhī dīvār-o-dar paidā karūñ
sab kuchh aatā hai magar yaañ aql hairāñ hai mirī
tere dil meñ rah kyūñ-kar fitnagar paidā karūñ
ab tirī jhūTī lagāvaT meñ na ā.ūñgā kabhī
muft iizā pā.ūñ nāhaq dard-e-sar paidā karūñ
kahte haiñ kyā tujh pe guzrī thī mire jaane ke ba.ad
kyā batā.ūñ kaise vo vaqt-e-sahar paidā karūñ
kyuuñ 'nizām' us vaqt to tum maan jāoge mujhe
dostī us dushman-e-jāñ se agar paidā karūñ