vo to yūñhī kahtā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
merā ye maqūla hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
kah jaatā hai vo saaf hazāroñ mujhe bāteñ
phir us pe ye kahtā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
ai dosto us shoḳh kā maiñ kyā kahūñ aalam
kuchh aaj vo dekhā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
yuuñ ġhair satā.eñ mujhe aur kuchh na kahūñ maiñ
muñh mujh ko tumhārā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
har baat pe kyā kyā hameñ kahtā hai vo zālim
gar kahiye to kahtā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
bas aur kiyā chāhte ho mujh pe sitam kyā
socho to ye thoḌā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
kyā haal banāyā hai ġham-e-ġhair meñ apnā
vo aap kā naqshā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
juz mere kisī aur ko to aap satā.eñ
haañ aap ne samjhā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
aisā hameñ kahte ho ki bas jānte haiñ ham
ye aap ko dhokā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
kyā kyā mujhe tum kahte ho insāf to kiije
ye hausla merā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
da.avā kareñ go aur 'nizām' apne suḳhan par
par mujh ko ye da.avā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā