kahte haiñ sun ke mājrā merā
tum se kis roz rabt thā merā
nāma-bar us ne to kahā sab kuchh
tū ne bhī haal kuchh kahā merā
ab to ḳhvāhāñ visāl kā bhī nahīñ
kuchh ajab hai muāmla merā
aur kis ko sunāte ho mujh ko
aur kis kā ye zikr thā merā
ye bhī kyā baat aa.ī us din kī
ye bhī kahiye qusūr thā merā
mujh se phir pūchhne se kyā hāsil
gar samajhte ho mudda.ā merā
kuchh kisī baat kā ḳhayāl bhī hai
ġhair ke sāmne gilā merā
dekh kar us kā pherā lenā muñh
aur hasrat se dekhnā merā
kuchh to baa.is hai mere aane kā
kuchh to tum se hai vāstā merā
bevafā kahte haiñ sabhī tum ko
kahiye is meñ qusūr kyā merā
aisī bāteñ to ġhair kī hoñgī
aap ne naam le liyā merā
haal sun ke mirā na ye tū kah
ek hī haal hai tirā merā
be-qarārī se shab kaTī hogī
aisā kis din ḳhayāl thā merā
kis ne betāb kar diyā mujh ko
kaun ārām le gayā merā
dam-e-marg aa ke pūchhte haiñ 'nizām'
ab to baḳhshā kahā sunā merā