Nizam Rampuri

tasawwur aap ka hai aur main hun

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
tasavvur aap kā hai aur maiñ huuñ
yahī ab mashġhalā hai aur maiñ huuñ
mirī zid se milā phir dushmanoñ se
bas ab vo bevafā hai aur maiñ huuñ
vo ho aur maiñ huuñ aur koī na ho ġhair
yahī har-dam duā hai aur maiñ huuñ
tasavvur meñ haiñ pahroñ un se bāteñ
shikāyat kā mazā hai aur maiñ huuñ
tumhārī ḳhū hai ranjish har ghaḌī kī
ye jhagḌā roz kā hai aur maiñ huuñ
ilāhī vasl hai yā ḳhvāb hai ye
husūl-e-mudda.ā hai aur maiñ huuñ
hazāroñ ġham to dekhe us se mil kar
vahī phir hauslā hai aur maiñ huuñ
sahe kyā kyā sitam aur ab talak bhī
tamannā hai vafā hai aur maiñ huuñ
ga.e vo to jahāñ jaanā thā un ko
ab un kā naqsh-e-pā hai aur maiñ huuñ
har ik se hāl-e-dil kahtā huuñ apnā
ye charchā jā-ba-jā hai aur maiñ huuñ
do aalam kī ḳhushī se kuchh nahīñ kaam
faqat ik ġham tirā hai aur maiñ huuñ
vo hai aur ahd-nāme haiñ adū se
nasīboñ kā likhā hai aur maiñ huuñ
ġham-e-dūrī qayāmat hai ki har-dam
ajal kā sāmnā hai aur maiñ huuñ
ḳhudā kī jannateñ haiñ aur hai ḳhalq
sanam kūcha tirā hai aur maiñ huuñ
sahar hote hī jaate hī kisī ke
vahī āh-o-bukā hai aur maiñ huuñ
'nizām' us but ke ġham meñ ho tasallī
bas ik zāt-e-ḳhudā hai aur maiñ huuñ
Top Urdushayar.com