Nizam Rampuri

KHabar nahin kai din se wo diq hai ya KHush hai

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
ḳhabar nahīñ ka.ī din se vo diq hai yā ḳhush hai
ḳhushī tabhī ho ki jab sun luuñ dil-rubā ḳhush hai
zarā bhī bigḌe to bigḌe zamāna sab mujh se
ḳhushī hai vo to har ik dost āshnā ḳhush hai
paḌā huuñ jab se ki bīmār ho ke maiñ ghar meñ
har ek ġhair adāvat se phirtā kyā ḳhush hai
magar hai us kī ināyat to ġham nahīñ kuchh bhī
vo mujh se ḳhush rahe bas phir to dil mirā ḳhush hai
maiñ ek ġham nahīñ sau jaan par uThā lūñgā
mire satāne se kah de ki dil tirā ḳhush hai
sabab to kuchh nahīñ ma.alūm haa.e kyā maiñ karūñ
vo aap hī aap ka.ī din se mujh se nā-ḳhush hai
vo baat kaun sī hai jo nahīñ samajhte ham
fareb de ke hameñ kyuuñ tū bevafā ḳhush hai
'nizām' kaun sā din ho jo vaañ pe jā.ūñ maiñ
kaheñ vo hañs ke mizāj ab to aap kā ḳhush hai
Top Urdushayar.com