sadme yuuñ ġhair par nahīñ aate
tumheñ jaur is qadar nahīñ aate
phir tasallī kī kaun sī sūrat
ḳhvāb meñ bhī nazar nahīñ aate
aate haiñ jab ki nā-umīd hoñ ham
kabhī vo va.ade par nahīñ aate
roz ke intizār ne maarā
saaf kah do agar nahīñ aate
nahīñ ma.alūm is kā kyā baa.is
roz kahte haiñ par nahīñ aate
aur tum kis ke ghar nahīñ jaate
ek mere hī ghar nahīñ aate
ab to hai qahr aap kā jaanā
nahīñ aate agar nahīñ aate
sach hai hiile mujhī ko aate haiñ
aur tumheñ kis qadar nahīñ aate
un ko maiñ is tarah bhulā.ūñ 'nizām'
yaad kis baat par nahīñ aate