Nizam Rampuri

meri sans ab chaara-gar TuTti hai

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
mirī saañs ab chārā-gar TūTtī hai
kahīñ juḌtī hai phir kahīñ TūTtī hai
ye ḳhū hai tumhārī to kyūñ-kar banegī
udhar bantī hai to idhar TūTtī hai
na ham par hañso haal hotā hai ye hī
musībat jo insān par TūTtī hai
samajhtā huuñ kuchh maiñ bhī bāteñ tumhārī
ye har ta.an kyā ġhair par TūTtī hai
ḳhudā ke liye phir to aisā na kahnā
mirī aas ai nāma-bar TūTtī hai
yahāñ jis ke be-dekhe jī TūTtā hai
vahāñ us kī har-dam nazar TūTtī hai
ġhazab hāthā-pā.ī kā hai lutf hotā
koī un kī chūḌī agar TūTtī hai
adū kā bhī to ghar hai ai charḳh zālim
jo aafat hai mere hī ghar TūTtī hai
tirī baat kā kyā hai unvān qāsid
tavaqqo.a hamārī magar TūTtī hai
ye ġham hai to ronā bhī apnā yahī hai
ye ronā hai to chashm-e-tar TūTtī hai
ye kahnā 'nizām' ab to sone de mujh ko
koī baiThe kab tak kamar TūTtī hai
Top Urdushayar.com