Nizam Rampuri

dil mein kya usko mila jaan se hum dekhte hain

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
dil meñ kyā us ko milā jaan se ham dekhte haiñ
balki jaañ hai vahī jab dhyān se ham dekhte haiñ
chupke baiThe hue hairān se ham dekhte haiñ
tum to dekho tumheñ kis shaan se ham dekhte haiñ
dil nikal jaatā hai be-sāḳhta us dam apnā
dar meñ jis dam tujhe dālān se ham dekhte haiñ
kahte haiñ ek tumhīñ to nahīñ ham par marte
saikḌoñ jaate hue jaan se ham dekhte haiñ
vaañ se māyūs chale to haiñ na pūchho phir kuchh
pīchhe phir phir ke kis armān se ham dekhte haiñ
kyā gila aap kā jo ham ko dikhā.e qismat
aaj kuchh aur hī sāmān se ham dekhte haiñ
kuchh rukā sā jo unheñ dekhte haiñ mahfil meñ
muñh ko ek ek ke hairān se ham dekhte haiñ
allāh allāh re ai but tirī afzā.ish-e-husn
tujh ko har lahza na.ī aan se ham dekhte haiñ
haa.e qismat ki adū kahne ko apnā matlab
muñh lagāte haiñ tire kaan se, ham dekhte haiñ
kabhī jaane kā irāda jo vo karte haiñ 'nizām'
haa.e us vaqt kis armān se ham dekhte haiñ
Top Urdushayar.com