tumheñ haañ kisī se mohabbat kahāñ hai
zarā dekhiye to vo sūrat kahāñ hai
bhalā ab kisī se suno baat kyā tum
tumheñ apnī bātoñ se fursat kahāñ hai
har ik baat par ro.e se dete ho ab
vo shoḳhī kahāñ vo sharārat kahāñ hai
paḌe rahte ho pahroñ hī muñh lapeTe
vo jalsa kahāñ hai vo sohbat kahāñ hai
koī kuchh kahe ab tumheñ kuchh na bolo
vo tezī kahāñ vo zarāfat kahāñ hai
vo lag chalnā har ik se aafat tumhārā
vo tundī vo shoḳhī vo farhat kahāñ hai
koī jāntā bhī nahīñ ab to tum ko
vo pahlī sī ḳhushbū meñ shohrat kahāñ hai
tumhīñ dekho aur ġhair kī bāteñ sunñā
vo shaan ab kahāñ hai vo shaukat kahāñ hai
tumheñ ho adū hī kā milnā mubārak
adū kī sī ham meñ liyāqat kahāñ hai
'nizām' aap hī aap aa.egā yaañ par
yahāñ rashk sahne kī tāqat kahāñ hai