Nizam Rampuri

KHair yunhi sahi taskin ho kahin thoDi si

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
ḳhair yūñhī sahī taskīñ ho kahīñ thoḌī sī
''hāñ'' to kahte ho magar saath ''nahīñ'' thoḌī sī
hāl-e-dil sun ke mirā barsar-e-rahmat to haiñ kuchh
abhī baaqī hai magar chīn-e-jabīñ thoḌī sī
huī jaatī hai sahar aisā bhī ghabrānā kyā
raat gar hai bhī to ai māh-jabīñ thoḌī sī
jām-e-mai dekh ke labrez kis andāz ke saath
us kā kahnā ki nahīñ, itnī nahīñ, thoḌī sī
be-ḳhudī ye dam-e-ruḳhsat thī ki sab kuchh bhūlā
un kī bāteñ bhī mujhe yaad rahīñ thoḌī sī
ab ye paiġhām kisī kā koī le kar jaa.e
abhī lab par hai mire jān-e-hazīñ thoḌī sī
yuuñ to tum roz hī kahte ho sabhī kuchh mujh se
aaj kī baat huī zehn-nashīñ thoḌī sī
un se kuchh kah na sakā maiñ shab-e-ġham kī bāteñ
go ki bhūlā thā magar yaad bhī thiiñ thoḌī sī
bosa to us lab-e-shīrīñ se kahāñ miltā hai
gāliyāñ bhī milīñ ham ko to milīñ thoḌī sī
ab to sab kā tire kūche hī meñ maskan Thahrā
yahī ābād hai duniyā meñ zamīñ thoḌī sī
uTThe jaate haiñ hamīñ aap na baiTheñ ḳhāmosh
aap kī baat samajhte haiñ hamīñ thoḌī sī
yaad kuchh aa ke ye hālat huī merī ki na pūchh
pichhlī ghaḌiyāñ shab-e-ġham kī jo rahīñ thoḌī sī
sub.h tak shaam se vo go ki rahe paas mire
hasrateñ dil kī magar rah hī ga.iiñ thoḌī sī
koste kyā ho abhī hote haiñ ham shādi-e-marg
gar mile dafn ko kūche meñ zamīñ thoḌī sī
sab mirā haal vahāñ kaise kahegā qāsid!
tū to suntā hai mirī baat nahīñ thoḌī sī
daulat-e-faqr se sab ho ga.ī taskīn 'nizām'
ab kareñ kyā talab-e-tāj-o-nagīñ thoḌī sī
Top Urdushayar.com