Nizam Rampuri

us se phir kya gila kare koi

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
us se phir kyā gilā kare koī
jo kahe sun ke kyā kare koī
ham bhī kyā kyā kaheñ ḳhudā jaane
gar hamārī sunā kare koī
haa.e vo bāteñ pyaar kī shab-e-vasl
bhūle kyā yaad kyā kare koī
log kyuuñ pūchhte haiñ haal mirā
zikr kis baat kā kare koī
dard-e-dil kā ilaaj ho kis se
yuuñ masīhā huā kare koī
bevafā gar kahūñ to kahte haiñ
kyā har ik se vafā kare koī
jaa.e gar jaañ to sau haiñ tadbīreñ
jaa.e gar dil to kyā kare koī
koī apnī ḳhatā to ho ma.alūm
uzr kis baat kā kare koī
dil kā kuchh haal hī nahīñ khultā
gar maraz ho davā kare koī
kabhī maiñ ne bhī kuchh kahā tum se
na suno, kuchh kahā kare koī
tum se be-rahm par na dil aa.e
aur aa.e to kyā kare koī
saikḌoñ bāteñ kah ke kahte haiñ
phir hameñ kyuuñ ḳhafā kare koī
koī kab tak na de javāb tumheñ
chupkā kab tak sunā kare koī
shikva us but kā har kisī se 'nizām'
us se kah de ḳhudā kare koī
Top Urdushayar.com