kisī ne pakḌā dāman aur kisī ne āstīñ pakḌī
na uTThā maiñ hī us kūche se ye maiñ ne zamīñ pakḌī
ḳhudā shāhid hai dil par choT sī ik lag ga.ī mere
bahānā dard-e-sar kā kar ke jab us ne jabīñ pakḌī
sivā un ke na kahnā aur se aafat na kuchh aa.e
na jaane baat merī qāsidā shāyad kahīñ pakḌī
bhalā ab mujh se chhuTtā hai kahīñ us shoḳh kā chaskā
ye kyā hai chheḌ merī har ghaḌī kī ham-nashīñ pakḌī
ġhazab haiñ aap bhī maiñ ne to tum se kaan pakḌā hai
huā jab kuchh maiñ kahne ko zabāñ merī vahīñ pakḌī
ye qismat vasl kī shab sub.h tak takrār meñ guzrī
idhar kuchh maiñ ne zid pakḌī udhar us ne ''nahīñ'' pakḌī
mujhe Dasvāo ik mār-e-siyah se ye sazā diije
jafā kī apne sāhib kī jo zulf-e-ambarīñ pakḌī
ḳhudā ke fazl se aisī tabī.at hai 'nizām' apnī
ġhazal dam meñ kahī fazl-e-ḳhudā se jo zamīñ pakḌī