chheḌ manzūr hai kyā āshiq-e-dil-gīr ke saath
ḳhat bhī aayā kabhī to ġhair kī tahrīr ke saath
go ki iqrār ġhalat thā magar ik thī taskīn
ab to inkār hai kuchh aur hī taqrīr ke saath
pech qismat kā ho to kyā kare is meñ koī
dil ko vābastagī hai zulf-e-girah-gīr ke saath
vo bhī kahte hue kuchh duur tak aa.e pīchhe
ham jo us bazm se nikle bhī to tauqīr ke saath
ye bhī ik vasl kī sūrat thī magar rashk-e-nasīb
us kī tasvīr kabhī ġhair kī tasvīr ke saath
vāda-e-sub.h pe ab kis ko yaqīñ ho qāsid
aaj to jaan ga.ī nāla-e-shab-gīr ke saath
kaho ranjish kā sabab kuchh nahīñ merī hī suno
uzr to chāhiye karnā mujhe taqsīr ke saath
aap dete haiñ aziyyat hī shikāyat kī evaz
kuchh zabāñ se bhī to farmā.iye tāzīr ke saath
dekhiye mil hī gayā aap se vo shoḳh 'nizām'
kaam jo kuchh kare insān sau tadbīr ke saath