dil lage hijr meñ kyuuñ kar merā
dil tirā sā nahīñ patthar merā
yuuñ to rūThe haiñ magar logoñ se
pūchhte haal haiñ aksar merā
raah niklegī na kab tak koī
tirī dīvār hai aur sar merā
kahte haiñ aah kī dekheñ tāsīr
na huā vasl mayassar merā
ye to kah kaun sī tadbīr na kī
na huā tū hī sitamgar merā
kyā sunūñ ai dil-e-bad-zan terī
dost hai to vo muqarrar merā
lutf ranjish ke dikhātā tum ko
kyā kahūñ bas nahīñ dil par merā
unheñ milnā nahīñ mujh se manzūr
kis kī taqsīr muqaddar merā
pūchhnā kyā hai chaleñ jaa.eñ aap
zor chaltā nahīñ tum par merā
ġhair kā haal hai kahnā manzūr
kahte haiñ zikr milā kar merā
rashk-e-dushman kā gilā kartā huuñ
hai qusūr is meñ sarāsar merā
ḳhvāhish-e-dil kahīñ bar aa.e 'nizām'
dil ka.ī din se hai muztar merā