Nizam Rampuri

yan kise gham hai jo girya ne asar chhoD diya

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
yaañ kise ġham hai jo girya ne asar chhoḌ diyā
ham ne to shaġhl hī ai dīda-e-tar chhoḌ diyā
dil-e-betāb kā kuchh dhyān na aayā us dam
haa.e kyuuñ ham ne ise vaqt-e-sahar chhoḌ diyā
kyā satā.e nahīñ jaate haiñ va-lekin chup haiñ
shikva karnā tirā ai rashk-e-qamar chhoḌ diyā
dam-e-ruḳhsat kabhī kuchh dil kī tamannā na kahī
dāman-e-yār udhar pakḌā idhar chhoḌ diyā
dil kī ulfat na sahī pyaar kī bāteñ na sahī
dekhnā bhī to idhar ek nazar chhoḌ diyā
ġhair ke dhoke meñ ḳhat le ke mirā qāsid se
paḌhne ko paḌh to liyā naam magar chhoḌ diyā
ġhair se va.ada o iqrār hue kyā kyā kuchh
mere ḳhush karne ko ik fiqra udhar chhoḌ diyā
maiñ na kahtā thā ki bahkā.enge tum ko dushman
tum ne kis vāste aanā mire ghar chhoḌ diyā
muñh se jo kahte haiñ vo kar ke dikhā deñge tumheñ
be-qarārī ne hameñ chain pe gar chhoḌ diyā
huur bhī sāmne ab aa.e to kab dekheñ 'nizām'
barseñ guzreñ hameñ vo shauq-e-nazar chhoḌ diyā
Top Urdushayar.com