kahne se na man.a kar kahūñgā
tū merī na sun magar kahūñgā
tum aap hī aa.e yuuñ hī sach hai
naale ko na be-asar kahūñgā
gar kuchh bhī suneñge vo shab-e-vasl
kyā kyā na meñ tā-sahar kahūñgā
kahte haiñ jo chāhte haiñ dushman
maiñ aur tumheñ fitna-gar kahūñgā
kahte to ye ho ki tū hai achchhā
mānoge burā agar kahūñgā
yuuñ dekh ke mujh ko muskurānā
phir tum ko maiñ be-ḳhabar kahūñgā
ik baat likhī hai kyā hī maiñ ne
tujh se to na nāma-bar kahūñgā
kab tum to kahoge mujh se pūchho
maiñ bā.is-e-dard-e-sar kahūñgā
tujh se hī chhupā.ūñgā ġham apnā
tujh se hī kahūñgā gar kahūñgā
ma.alūm hai mujh ko jo kahoge
maiñ tum se bhī pesh-tar kahūñgā
hairat se kuchh un se kah sakūñgā
bhūlūñgā kā idhar udhar kahūñgā
kuchh dard-e-jigar kā hogā baa.is
kyuuñ tujh se maiñ chāra-gar kahūñgā
ab hāl-e-'nizām' kuchh na pūchho
ġham hogā tumheñ bhī gar kahūñgā