dekhiye to ḳhayāl-e-ḳhām mirā
aap se aur burā.ī kaam mirā
kahīñ us bazm tak rasā.ī ho
phir koī dekhe ehtimām mirā
shab kī bātoñ par ab bigaḌte ho
aañkh uThā kar to lo salām mirā
naam ik but kā lab pe hai vaa.iz
hai yahī vird sub.h o shaam mirā
ġhair yuuñ nikleñ us kī mahfil se
jis tarah ai 'nizām' naam mirā