is qadar aap kā itaab rahe
dil ko mere na iztirāb rahe
na paTī un se pyaar kī mīzān
haañ magar rañj be-hisāb rahe
yuuñ shab-e-vasl kā hai aalam yaad
jaise barsoñ kī yaad ḳhvāb rahe
hāl-e-dil sun ke bol uThā qāsid
yaad kis ko ye sab kitāb rahe
muntazir huuñ kisī ke aane kā
kis kī āñkhoñ meñ aa ke ḳhvāb rahe
sub.h ke is hijāb ne maarā
raat bhar aise be-hijāb rahe
ġhair kā muñh aur aap se bāteñ
aisī bātoñ se ijtināb rahe
ham bhī mar kar azaab se chhūTe
aap bhī dāḳhil-e-savāb rahe
haa.e vo din ḳhudā na laa.e yaad
ham se rūThe jo kuchh janāb rahe
bahr-e-hastī se kuuch hai darpesh
yaad mansūba-e-hubāb rahe
ek dam kā yahāñ tavaqquf hai
ḳhema be-chob be-tanāb rahe
kuchh na ban aa.ī us ke aage 'nizām'
do hī bātoñ meñ lā-javāb rahe