fikr yahī hai har ghaḌī ġham yahī sub.h o shaam hai
gar na milā vo kuchh dinoñ kaam yahāñ tamām hai
ab haiñ hamāre naam par saikḌoñ gāliyāñ ye lutf
kahte the tum miyāñ miyāñ vo hī to ye ġhulām hai
ḳhair na miliye roz roz yūñhī sahī kabhī kabhī
us se bhī inhirāf hai is meñ bhī kuchh kalām hai
ai dil-e-be-qarār kuchh kar vo ruke to rukne de
fā.eda iztirāb se sabr kā ye maqām hai
koī kahe burā bhalā koī adū ho yā ho dost
aur kisī se kaam kyā aap se mujh ko kaam hai
haa.e har ik kī vo sune kuchh maiñ kahūñ to ye kahe
aap na mujh se kuchh kaheñ aap se kab kalām hai
aaj haiñ ham to jāñ-ba-lab kal ko gar aa.e bhī husūl
tum ko kisī se kyā ġharaz apnī ḳhushī se kaam hai
ye bhī ġhazab kā rashk hai ḳhat to hai nām-e-ġhair par
aur lifāfe par likhā sahv se merā naam hai
kis ko kyā shahīd-e-nāz kis kī huī vafā pasand
kahte haiñ un ke dar par aaj ḳhalq kā azhdahām hai
ab haiñ fareb kis liye hogā yaqīñ kisī ko ab
tum se vafā kī aarzū ye bhī ḳhayāl-e-ḳhām hai
tauba kā yaañ kise ḳhayāl mai ko samajhte haiñ halāl
jis ke liye harām hai us ke liye harām hai
din ho to āfateñ ye kuchh raat ho to ye kuchh sitam
kaisī hamārī sub.h hai kaisī hamārī shaam hai
hijr ke vo sitam sahe ab na rahī havā-e-vasl
haal yahī hai nāma-bar ye hī mirā payām hai
sun ke mirī fuġhāñ kā shor pūchhā kisī ne kaun hai
bole sunā na hogā kyaa, ye to vahī 'nizām' hai