Nizam Rampuri

wo bigDe hain ruke baiThe hain jhunjlate hain laDte hain

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
vo bigḌe haiñ ruke baiThe haiñ jhuñjlāte haiñ laḌte haiñ
kabhī ham joḌte haiñ haath gaahe paañv paḌte haiñ
ga.e haiñ hosh aise gar kahīñ jaane ko uThtā huuñ
to jaatā huuñ idhar ko aur udhar ko paañv paḌte haiñ
hamārā le ke dil kyā ek bosa bhī nahīñ deñge
vo yuuñ dil meñ to raazī haiñ magar zāhir jhagaḌte haiñ
jo tum ko ik shikāyat hai to mujh ko laakh shikve haiñ
lo aao mil bhī jaao ye kahīñ qisse nabaḌte haiñ
udhar vo aur ā.īna hai aur kākul banānā hai
idhar vahm aur ḳhāmoshī hai aur dil meñ bigaḌte haiñ
yahāñ to sab hamārī jaañ ko nāseh ban ke aate haiñ
vahāñ jaate hue dil chhuTte haiñ dam ukhaḌte haiñ
na dil meñ ghar na jā mahfil meñ yaañ bhī baiThnā mushkil
tire kūche meñ ab zālim kab apne paañv gaḌte haiñ
sahar ko ro.uuñ yā un ko manā.ūñ dil ko yā rokūñ
ye qismat va.ade kī shab jhagḌe sau sau aan paḌte haiñ
kabhī jhiḌkī kabhī gaalī kabhī kuchh hai kabhī kuchh hai
bane kyuuñ kar ki sau sau baar ik dam meñ bigaḌte haiñ
'nizām' un kī ḳhamoshī meñ bhī sadhā lutf haiñ lekin
jo bāteñ karte haiñ to muñh se goyā phuul jhaḌte haiñ
Top Urdushayar.com