ham ko shab-e-visāl bhī rañj-o-mehan huā
qismat ḳhilāf-e-tab.a huā jo suḳhan huā
phir aane kī havas meñ sahar kis ḳhushī ke saath
hamrāh-e-nāla dard-e-jigar bhī ma.an huā
gardish bhī us ke kūche meñ hai aur qarār bhī
qismat to dekhiye ki safar meñ vatan huā
qātil adā-e-shukr ko yā shikvoñ ke liye
jo zaḳhm jism par huā goyā dahan huā
sābit-qadam huā na rah-e-ishq meñ koī
majnūñ koī huā to koī kohkan huā
kuchh mujh se shab ko ġhair ke iz.hār ke liye
ye ishq-bāzī kī thī ki apnā ye fan huā
dushman se aur hotīñ bahut bāteñ pyaar kī
shukr-e-ḳhudā ye hai ki vo but kam-suḳhan huā
lab par hañsī vo aa.ī vo chīn-e-jabīñ ga.ī
kahtā to huuñ ḳhatā huī dīvāna-pan huā
ā.īna dekh dekh ke kyā dekhte ho tum
chhūnā bhī yaañ nasīb tumhārā badan huā
ab bosa dene meñ tumheñ kis baat kā hai uzr
gaalī ke dene se hameñ sābit dahan huā
haq baat to ye hai ki usī but ke vāste
zāhid koī huā to koī barhaman huā
taqdīr kī ye baat hai ab kyā kare koī
raazī hue vo bose pe to gum dahan huā
phir mere iztirāb meñ kyuuñ shak hai aap ko
ulfat kā jab yaqīñ tumheñ ai jān-e-man huā
lab tak na aayā harf-e-tamannā kabhī 'nizām'
goyā mirā suḳhan bhī tumhārā dahan huā