Nizam Rampuri

tum se kuchh kahne ko tha bhul gaya

Nizam Rampuri

Rampur, Uttar pradesh, India

1819-1872
tum se kuchh kahne ko thā bhuul gayā
haa.e kyā baat thī kyā bhuul gayā
bholī bholī jo vo sūrat dekhī
shikva-e-jaur-o-jafā bhuul gayā
dil meñ baiThā hai ye ḳhauf us but kā
haath uTThe ki duā bhuul gayā
ḳhush huuñ is vāda-farāmoshī se
us ne hañs kar to kahā bhuul gayā
hāl-e-dil sunte hī kis lutf se haa.e
kuchh kahā kuchh jo rahā bhuul gayā
vaañ kis ummīd pe phir jaa.e koī
ai dil us baat ko kyā bhuul gayā
hosh meñ aa ke sunā kuchh qāsid
yaad kyā hai tujhe kyā bhuul gayā
ahd kyā thā mujhe kuchh yaad nahīñ
yahī gar bhuul gayā bhuul gayā
maiñ idhar bhuul gayā ranj-e-firāq
vo udhar uzr-e-jafā bhuul gayā
yaad meñ ek sanam kī nāseh
maiñ to sab kuchh ba-ḳhudā bhuul gayā
ḳhair mujh par to jo guzrī guzrī
shukr vo tarz-e-vafā bhuul gayā
yaad us kī hai mirī ziist 'nizām'
maut aa.ī jo zarā bhuul gayā
Top Urdushayar.com