jo chup rahūñ to batā.eñ vo ghuñgniyāñ muñh meñ
jo kuchh kahūñ to kaheñ qaiñchī hai zabāñ muñh meñ
ye ek baat hai qāsid jo bhejtā huuñ tujhe
vagarna dil meñ jo un ke hai vo yahāñ muñh meñ
zamīñ kā kar diyā paivand ham ko ai zālim!
na ab bhī ḳhaak paḌe tere āsmāñ muñh meñ
na kaan rakh ke kisī ne sunī hazār afsos
tamām umr rahī ġham kī dāstāñ muñh meñ
vo aise bigḌe hue haiñ ki daañt pīste haiñ
ham aise chup haiñ ki goyā nahīñ zabāñ muñh meñ
ye baat kyā hai jo hoñToñ meñ baḌbaḌāte ho
kaho na shauq se jo aa.e merī jaañ muñh meñ
Daro asar se ḳhudā jaane kyā ho kyā kuchh ho
ghuTā huā hai abhī aah kā dhuāñ muñh meñ
kabhī girāne na do aañsū haal par mere
lo aao paanī to Tapkāo merī jaañ muñh meñ
zabān par hai ye kis kis kī tazkira apnā
paḌī hai baat na merī kahāñ kahāñ muñh meñ
phir aise va.ade se taskīñ ho kis tarah merī
''nahīñ'' hai dil meñ tumhāre agar hai ''hāñ'' muñh meñ
usī kā dhyān hai jab tak ki tan meñ jaañ hai 'nizām'
usī kā zikr hai jab tak ki hai zabāñ muñh meñ