zehn-o-dil meñ pichhlī shab kī dāstāñ to saaf ho
jhilmilā.eñge sitāre āsmāñ to saaf ho
ġhair ko to chhoḌ us kā jo bhī ho radd-e-amal
baat lekin tere mere darmiyāñ to saaf ho
rah-ravī jaarī rahe be-shak ho manzil ke ḳhilāf
kārvāñ par hukm mīr-e-kārvāñ to saaf ho
dil samajh legā ishāra aap kar ke dekhiye
shart hai lekin nigāhoñ kī zabāñ to saaf ho
kis tarah aa.e nazar 'bebāk' ab zaḳhm-e-jigar
rauzan-e-dil vā ho chashm-e-ḳhūñ-chakāñ to saaf ho