kisī kī raah kā patthar haTā rahā huuñ abhī
safar ko aur bhī mushkil banā rahā huuñ abhī
use ye jaan kar achchhā bahut lagegā magar
maiñ us kī yaad meñ sab kuchh bhulā rahā huuñ abhī
maiñ saath apne hī saa.e kā chhoḌ duuñ na kahīñ
ki sar pe dhuup ġhamoñ kī uThā rahā huuñ abhī
hayāt tū bhī to dhoke se kam nahīñ lekin
fareb tere liye sab se khā rahā huuñ abhī
maiñ āñdhiyoñ se Darā kab ki aaj ghabrā.ūñ
to phir diye se diye kyuuñ jalā rahā huuñ abhī
mujhe paḌhe to koī kis tarah paḌhe 'bebāk'
maiñ ḳhud ko aab pe likh kar miTā rahā huuñ abhī