nazar to aas kī ab ahal-e-āsmān pe hai
duā kā tiir abas ajr kī kamān pe hai
zamīñ nasīb kahāñ duur ke safar se use
vo ek dhuup kā TukḌā jo sā.ebān pe hai
jise jatan se rakhā dil hī dil meñ vaqt-e-junūñ
vo raaz shahr meñ har ek kī zabān pe hai
tamām shauq dhare ke dhare na rah jaa.eñ
junūñ ke shahr meñ aafat hamārī jaan pe hai
safar meñ chain kahāñ daur-e-ābla-pā.ī
jo haal uThān pe thā ab vahī Dhalān pe hai
shikār meñ haiñ yahāñ ek dūsre ke sabhī
kabhī zamīñ pe kabhī aadmī machān pe hai
koī to kaaT batā mujh ko tū mire maazī
ki ab ke vaar tirī aan baan shaan pe hai
vo shāḳh-e-zīst pe 'bebāk' lauTtā hī nahīñ
parind dil kā jo ab arsh kī uḌaan pe hai