husn-e-bāzār to hai garmī-e-bāzār nahīñ
bechne vaale haiñ sab koī ḳharīdār nahīñ
aao batlā.eñ ki va.adoñ kī haqīqat kyā hai
peḌ ūñche haiñ sabhī koī samar-dār nahīñ
dil kī uftād mizājī se pareshāñ huuñ maiñ
thī talab jis kī ab us kā hī talabgār nahīñ
ab jise dekho vahī ghuum rahā hai bāñdhe
dastiyāb ab kisī dūkān pe dastār nahīñ
ai zuleḳhā tū ne jo daam lagāyā ab ke
us pe yūsuf to koī bikne ko tayyār nahīñ
āsmāñ chhat hai zamīñ farsh kushāda hai makāñ
merā ghar vo hai ki jis ke dar-o-dīvār nahīñ
hai suḳhan-fahmī kā har shaḳhs ko da.avā lekin
kaun aisā hai jo 'ġhālib' kā taraf-dār nahīñ
ai 'kamāl' aise meñ kyā lutf-e-safar pāoge
raah meñ dhuup nahīñ sañg nahīñ ḳhaar nahīñ