vo bujh gayā to añdheroñ ko bhī malāl rahā
vo ik charāġh jo jalne meñ bhī be-misāl rahā
kabhī bhulā na sakā dil-shikastagī apnī
juḌā to juḌ ke bhī us aa.ine meñ baal rahā
mirī hayāt ne hātim banā diyā mujh ko
har ik savāl ke ba.ad ik nayā savāl rahā
hamesha maiñ ne bhī nākāmiyoñ se kaam liyā
tamām-umr mirā 'mīr' jaisā haal rahā
tumhāre ba.ad kisī se fareb khāyā nahīñ
tumhārā mujh se bichhaḌnā bhī nek-fāl rahā
ġhamoñ ko haavī na hone diyā kabhī dil par
shab-e-firāq bhī zikr-e-shab-e-visāl rahā
kahāñ haram hai kidhar ka.aba hai kidhar ruḳh hai
namāz-e-ishq meñ us kā kahāñ ḳhayāl rahā
ġhazal usī kī thī haavī tamām ġhazloñ par
vahāñ bhī raunaq-e-bazm-e-suḳhan 'kamāl' rahā