amīr-e-shahr kī chaukhaT pe jā ke lauT aayā
ġharīb-e-vaqt añgūThā dikhā ke lauT aayā
lagā rahā thā maiñ baḌh chaḌh ke boliyāñ lekin
ḳharīdā kuchh nahīñ qīmat baḌhā ke lauT aayā
kasar rahī-sahī kar deñgī āñdhiyāñ puurī
maiñ us daraḳht ko jaḌ se hilā ke lauT aayā
maiñ chāñd chhūne kī ḳhvāhish meñ ghar se niklā thā
aur apnī palkoñ pe taare sajā ke lauT aayā
bujhā diyā thā jise sar-phirī havāoñ ne
maiñ us charāġh ko phir se jalā ke lauT aayā
vo ibtidā-e-safar meñ hī khul gayā mujh par
maiñ us ke saath zarā duur jā ke lauT aayā
'kamāl' us ne mire dil kā haal pūchhā thā
maiñ us ko 'mīr' kī ġhazleñ sunā ke lauT aayā