Ahmad Kamal Hashmi

dil mujhe samjhata hai to dil ko samjhata hun main

Ahmad Kamal Hashmi

Kankinara, West Bengal, India

1964
dil mujhe samjhātā hai to dil ko samjhātā huuñ maiñ
jaane kaise aql kī bātoñ meñ aa jaatā huuñ maiñ
din mujhe har din banā letā hai apnā yarġhamāl
raat jab aatī hai to ḳhud ko chhuḌā laatā huuñ maiñ
koī jhūTā va.ada bhī kartā nahīñ hai vo kabhī
ḳhud umīdeñ bāñdh letā huuñ bahal jaatā huuñ maiñ
zinda rahne kā mujhe fan aaj tak aayā nahīñ
phir bhī jiinā chāhtā huuñ kyā ġhazab Dhātā huuñ maiñ
Daal kar āñkhoñ meñ āñkheñ karnī hai kuchh guftugū
zindagī ai zindagī to ruk abhī aatā huuñ maiñ
maiñ ne dariyā ke havāle kar diyā hai tan-badan
maujoñ kī rau meñ ḳhamoshī se bahā jaatā huuñ maiñ
ab na aa.egā mire sheroñ meñ terā tazkira
ai mirī jān-e-ġhazal terī qasam khātā huuñ maiñ
shiddat-e-ġham hī ilāj-e-ġham bhī hotā hai 'kamāl'
baḌhtī haiñ tārīkiyāñ to raushnī paatā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com