Ahmad Kamal Hashmi

uski aankhon mein kuchh nami si hai

Ahmad Kamal Hashmi

Kankinara, West Bengal, India

1964
us kī āñkhoñ meñ kuchh namī sī hai
vaqt kī nabz bhī thamī sī hai
har taraf juuñ kī tuuñ hai har ik shai
kyuuñ tabī.at meñ barhamī sī hai
koī ab tak samajh nahīñ paayā
zindagī gūñge aadmī sī hai
merī jaañ terī surḳhī-e-lab meñ
ḳhuun dil kī mire kamī sī hai
us se hāsil nahīñ farār kabhī
dard ik chiiz lāzmī sī hai
vo fasurda nazar nahīñ aatā
sirf poshāk mātamī sī hai
merā dil bhārī ho gayā hai 'kamāl'
us kī yādoñ kī tah jamī sī hai
Top Urdushayar.com