Ahmad Kamal Hashmi

jaane kaisa ye nur hai mujh mein

Ahmad Kamal Hashmi

Kankinara, West Bengal, India

1964
jaane kaisā ye nuur hai mujh meñ
chāñd koī zarūr hai mujh meñ
koī paḌhtā nahīñ kabhī us ko
vo jo bainassutūr hai mujh meñ
jaane kis meñ hai ājizī merī
jaane kis kā ġhurūr hai mujh meñ
kahīñ bāhar nazar nahīñ aatā
merā dushman zarūr hai mujh meñ
kirchiyāñ chubh rahī haiñ siine meñ
aa.ina chuur chuur hai mujh meñ
muddatoñ tak safar meñ rah kar bhī
koī manzil se duur hai mujh meñ
muntazir hai kisī tajallī kā
ek jo koh-e-tūr hai mujh meñ
maiñ ye mahsūs kar rahā huuñ 'kamāl'
koī mujh se hī duur hai mujh meñ
Top Urdushayar.com