Ahmad Kamal Hashmi

kisi ki zist ka bas ek bab sannaTa

Ahmad Kamal Hashmi

Kankinara, West Bengal, India

1964
kisī kī ziist kā bas ek baab sannāTā
kisī ke vāste puurā nisāb sannāTā
hai us ko lafz se matlab mujhe ma.ānī se
hai us kā shor mirā intiḳhāb sannāTā
darūn-e-ḳhāna kī vīrāniyāñ kuchh aisī thiiñ
barūn-e-ḳhāna huā aab aab sannāTā
mujhe pata hai kahānī kā iḳhtitām hai kyā
tavīl baat kā lubb-e-lubāb sannāTā
mirī ḳhamoshī pe uñglī uThātā rahtā hai
ḳhud apnā kartā nahīñ ehtisāb sannāTā
buland hotī sadā ko dabā ke ḳhush mat ho
zarūr lā.egā ik inqalāb sannāTā
shab-e-firāq tirī yaad merī tanhā.ī
udaas udaas fazā māhtāb sannāTā
abhī 'kamāl' yahāñ qahqahe uchhalte haiñ
kahīñ na kar de unheñ ek ḳhvāb sannāTā
Top Urdushayar.com