vo ik hasīñ kabhī tanhā nahīñ nikaltā hai
ki jaise chāñd akelā nahīñ nikaltā hai
har aadmī se vafā kī umiid mat rakkho
har ik zamīn se sonā nahīñ nikaltā hai
gharoñ meñ chāroñ taraf qumqume to raushan haiñ
magar diloñ se añdherā nahīñ nikaltā hai
kuchh imtihān faqat imtihān hote haiñ
har imtihāñ kā natīja nahīñ nikaltā hai
kabhī kabhī baḌī mushkil se baat bantī hai
ġhazal kā sher hamesha nahīñ nikaltā hai
hamāre dard kī daulat faqat hamārī hai
zamāne jā tirā hissa nahīñ nikaltā hai
'kamāl' ab to adū kī shanāḳht mushkil hai
har ek bam se falītā nahīñ nikaltā hai