Ahmad Kamal Parwazi

ye garm ret ye sahra nibha ke chalna hai

Ahmad Kamal Parwazi

1944
ye garm ret ye sahrā nibhā ke chalnā hai
safar tavīl hai paanī bachā ke chalnā hai
bas is ḳhayāl se ghabrā ke chhaT ga.e sab log
ye shart thī ki qatāreñ banā ke chalnā hai
vo aa.e aur zamīñ rauñd kar chale bhī ga.e
hameñ bhī apnā ḳhasāra bhulā ke chalnā hai
kuchh aise farz bhī zimme haiñ zimme-dāroñ par
jinheñ hamāre diloñ ko dukhā ke chalnā hai
shanāsā zehnoñ pe ta.ane asar nahīñ karte
tū ajnabī hai tujhe zahr khā ke chalnā hai
vo dīda-var ho ki shā.er ki masḳhara koī
yahāñ sabhī ko tamāsha dikhā ke chalnā hai
vo apne husn kī ḳhairāt dene vaale haiñ
tamām jism ko kaasa banā ke chalnā hai
Top Urdushayar.com