phuul par os kā qatra bhī ġhalat lagtā hai
jaane kyuuñ aap ko achchhā bhī ġhalat lagtā hai
mujh ko ma.alūm hai mahbūb-parastī kā azaab
der se chāñd nikalnā bhī ġhalat lagtā hai
aap kī harf-adā.ī kā ye aalam hai ki ab
peḌ par shahd kā chhattā bhī ġhalat lagtā hai
ek hī tiir hai tarkash meñ to ujlat na karo
aise mauqe pe nishānā bhī ġhalat lagtā hai
shāḳh-e-gul kaaT ke tirshūl banā dete ho
kyā gulāboñ kā mahaknā bhī ġhalat lagtā hai