Nasir Amrohvi

tumhaare jaane ka gham manaunga dekh lena

Nasir Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1985
tumhāre jaane kā ġham manā.ūñgā dekh lenā
maiñ hijr-e-sahrā meñ ḳhaak uḌā.ūñgā dekh lenā
mirā ye da.avā hai muddatoñ tak maiñ ban ke aañsū
tumhārī āñkhoñ meñ jhilmilā.ūñgā dekh lenā
vo saarī ġhazleñ jo bas tumhāre liye likhī thiiñ
vo ab maiñ har shaḳhs ko sunā.ūñgā dekh lenā
ye tum jo mujh se zarā sī bātoñ pe rūThte ho
maiñ saarī duniyā se ruuTh jā.ūñgā dekh lenā
tumhārī sohbat meñ itnā ḳhush huuñ ki hañs rahā huuñ
tumhārī furqat meñ ḳhuuñ bahā.ūñgā dekh lenā
vo ik samundar udāsiyoñ kā jo ruuh meñ hai
maiñ us samundar meñ Duub jā.ūñgā dekh lenā
tumhārī chaukhaT pe jaan de kar amar rahūñgā
tumhārī nabzoñ meñ thartharā.ūñgā dekh lenā
vo ḳhat tumhāre jo jaan se bhī azīz-tar haiñ
maiñ ek ik kar ke sab jalā.ūñgā dekh lenā
ik us kā ġham hī mirā muqaddar koī hai 'nāsir'
abhī to maiñ kitne ġham uThā.ūñgā dekh lenā
Top Urdushayar.com