Ahmad Kamal Parwazi

main rang-e-asman kar ke sunahri chhoD deta hun

Ahmad Kamal Parwazi

1944
maiñ rañg-e-āsmāñ kar ke sunahrī chhoḌ detā huuñ
vatan kī ḳhaak le kar ek muTThī chhoḌ detā huuñ
ye kyā kam hai ki haqq-e-ḳhud-parastī chhoḌ detā huuñ
tumhārā naam aatā hai to kursī chhoḌ detā huuñ
maiñ roz-e-jashn kī tafsīl likh kar rakh to letā huuñ
magar us jashn kī tārīḳh ḳhālī chhoḌ detā huuñ
bahut mushkil hai mujh se mai-parastī kaise chūTegī
magar haañ aaj se firqa-parastī chhoḌ detā huuñ
ḳhud apne haath se rasm-e-vidā.ī kar to dī par ab
koī bārāt aatī hai to bastī chhoḌ detā huuñ
tumhāre vasl kā jis din koī imkān hotā hai
maiñ us din roza rakhtā huuñ burā.ī chhoḌ detā huuñ
hukūmat mil ga.ī to un kā kūcha chhūT jā.egā
isī nuqte pe aa kar bādshāhī chhoḌ detā huuñ
mubārak ho tujhe sad-āfrīñ ai shān-e-mahrūmī
tire pahlū meñ aa ke ghar-grihastī chhoḌ detā huuñ
Top Urdushayar.com