barā.e-zeb us ko gauhar-o-aḳhtar nahīñ lagtā
vo ḳhud ik chāñd hai aur chāñd ko zevar nahīñ lagtā
ḳhudāyā yuuñ bhī ho ki us ke hāthoñ qatl ho jā.ūñ
vahī ik aisā qātil hai jo pesha-var nahīñ lagtā
agar āriz-parastī kā amal ik jurm bantā hai
sazā bhī kaaT leñge kāTne se Dar nahīñ lagtā
mohabbat tiir hai aur tiir bātin chhed detā hai
magar niyyat ġhalat ho to nishāne par nahīñ lagtā
ra.īs-e-shahr ho kar bhī vo itnā jhuk ke miltā hai
ki us ke sāmne koī bhī qad-āvar nahīñ lagtā