Ahmad Kamal Parwazi

sar-ba-zanun koi fankar alag baiTha hai

Ahmad Kamal Parwazi

1944
sar-ba-zānūñ koī fankār alag baiThā hai
maiñ yahāñ huuñ mirā kirdār alag baiThā hai
shahar meñ nāma-e-taqdīs likhā jā.egā
mutma.in huuñ mirā inkār alag baiThā hai
terī tārīf meñ sab bol rahe haiñ lekin
is pe hairat hai ki me.aar alag baiThā hai
ġhair-mahfūz haiñ dīvār banāne vaale
aur shahanshah sar-e-mīnār alag baiThā hai
ab dabāoge to patthar se nikal aa.egī
ek āvāz kā haqdār alag baiThā hai
Top Urdushayar.com