Ahmad Kamal Parwazi

kanware aansuon se raat ghael hoti rahti hai

Ahmad Kamal Parwazi

1944
kañvāre āñsuoñ se raat ghā.el hotī rahtī hai
sitāre jhaḌte rahte haiñ rehearsal hotī rahtī hai
siyāsī mashq kar ke tum to dillī lauT jaate ho
yahāñ sahme hue logoñ meñ halchal hotī rahtī hai
vahāñ rakkhe hue mohre barābar marte rahte haiñ
idhar khelī huī baazī mukammal hotī rahtī hai
maiñ sab kuchh bhuul ke jaane kī koshish kartā rahtā huuñ
magar guzrī huī vo raat pāgal hotī rahtī hai
na jaane kyā ḳharābī aa ga.ī hai mere lahje meñ
na jaane kyuuñ mirī āvāz bojhal hotī rahtī hai
Top Urdushayar.com