tamām bhiiḌ se aage nikal ke dekhte haiñ
tamāsh-bīn vo chehra uchhal ke dekhte haiñ
nazākatoñ kā ye aalam ki rū-numā.ī kī rasm
gulāb baaġh se bāhar nikal ke dekhte haiñ
tū lā-javāb hai sab ittifāq rakhte haiñ
magar ye shahr ke fānūs jal ke dekhte haiñ
ise maiñ apne shabistāñ meñ chhū ke dekhtā huuñ
vo chāñd jis ko samundar uchhal ke dekhte haiñ
jo kho gayā hai kahīñ zindagī ke mele meñ
kabhī kabhī use aañsū nikal ke dekhte haiñ
jo roz dāman-e-sad-chāk siite rahte haiñ
tumheñ vo iid pe kapḌe badal ke dekhte haiñ